Babycare

About speaking

1 to 3 years

Created by
Updated on Nov 06, 2019

Mera beta 2. 5 years ka hai .. wo abhi ni bolta B. S. Mumy papa dadi didi Bhua Bhai matlab try krta ha bolne ki but abhi proper baat ni krta.. kyi logo ne kaha ye normal ni hai ese doctor ko dekhao ... ye kaise school ja sakta ye to abhi bolta ni etc........ mera beta action krk jayda baate smjata hai muje tenshion hai uski ... I shared my worries wid u all ...kindly give me right suggestions....

  • 10
Comments ()
Kindly Login or Register to post a comment.

| Nov 06, 2019

Hi @anu! Agar baccha itna bol pa raha hai, iska matlab sun sakta hai. Aap bacche se jitna bat karnege utna woh jaldi seekhega. Aap bachche ke saath picture books padhey, day to day life mai jo cheezein istemaal hoti hai ,uska naam repeat karey, uski picture dikhayein aur actual chiz lakar dene ko boley. ipad ,tv ,phone ka use restrict kar dijiye. bacche ko jitna jaldi school dalenge wo utna hi jaldi aur bacchon ko dekhkar seekhga. Jyada se jyada samyein baat karey,gestures ko na samjh kar bolne ko kahey.

  • Reply
  • Report

| Nov 06, 2019

Hi Anu, aap baby ke sath jyada time spend kare and baat karne ke liye encourage kare, aur yeh blog jarur padhe - https://www.parentune.com/parent-blog/mothers-role-helping-child-with-speech-delay/561

  • Reply
  • Report

| Nov 06, 2019

Thanku for the suggestions .. mere beta ki admission krani hai pre nursery me aur session start hoga March me ... is this ok???

  • Reply
  • Report

| Nov 06, 2019

Aap abhi bhi dalwa saktey hai, 5 months mai baccha bhut kuch seekh jayega.

  • Reply
  • Report

| Nov 06, 2019

Actually mere in laws chahte hai ek e school me bache ko dala jay ... bache ko 6 mahinw kise aur school me daal k fer use kise aur school me shift krna usko disturbance krega... jis school me dalna hai wo pre nursery to +2 tk hai

  • Reply
  • Report

| Nov 06, 2019

Maine apni beti ko december mai preschool daala tha. within 5 months ,mere bacche mai bhut farak aaya tha. Bacche school jakar bolna, schedule follow karna, group setting mai appropriate behavior, baat karna, apne aap ko express karna , khud khana, to listen, following directions etc. seekhtey hai.

  • Reply
  • Report

| Nov 06, 2019

Yeah u r right

  • Reply
  • Report

| Nov 16, 2019

@ Anu. Yeh normal hai. aap and family members usse khoob batain karin. Beta sunega to jaldi graso karega. sometimes bacche teen sal main bolna shuru karte hain. kya aap nuclear family main rehti hain? 6-7 months aisa kariye. uske bad speech therapist se consult kariye. dont worry sab theek hoga.

  • Reply
  • Report

| Nov 16, 2019

Beta bolta hai .. ab try b krta hai kyi bache Kitni baate krte wase ni krta .. Esa nai hai ki bilkul baate ni krta .. papa Mumy dadi dada didi bha .. sentence bhi koshish krta hai ab but jayada ni hai jase ki school bejna ho fer us level ka bolna ni hai .. agar Bolga fer e Padega . B. S. yahi tenshion hai

  • Reply | 1 Reply
  • Report

| Nov 16, 2019

Beta 2 year 8 months ka ho gya hai .. March me school jayga .. abhi ghar k pas tushion Pdati hai mere known me. Waha chod aati hu Roz 1 hour

  • Reply | 1 Reply
  • Report

More Similar Talks

+ Start a Talk

Top Babycare Blogs

Loading
{{trans('web/app_labels.text_Heading')}}

{{trans('web/app_labels.text_some_custom_error')}}

{{trans('web/app_labels.text_Heading')}}

{{trans('web/app_labels.text_some_custom_error')}}