behaviour

Created by
Updated on Feb 10, 2020
mer beti hospitalized the due to fever nd loose motion tabse uska behaviour bht agravesive ho gya hai bhr gusa krte hai or marte hai sabko mein kya karu

| Feb 10, 2020
Dhanvi Jab baccha hospitalize Hota Hai To vah Apne aapko bahut tired aur lonely mahsus karta hai Kyunki ki Kai chijen usey Mana Kari Jaati Hain Issi vajah se vah apne aap aggressive ho jata hai iske liye aapko uske sath baithkar Pyar Se usey Samjhana chahie ki doctor ne jo bhi usey Mana Kiya Hai uski bhalaiee ke liye hai aur aap bhi apna Dhairya mat chhode Dheere Dheere Jaise Jaise vah normal routine Mein Aaegi vaise vaise uska aggressiveness kam ho jaega aur usey Khush rakhne ke liye uske sath Kuchh toy aur games ke sath Khele ...Chahe aap ka kam late ho jaaye but uske upar Adhik Dhyan den.. Uske taste ka khana banaen

| Feb 10, 2020
Hi Dhanvi, bache tode chidchide ho jate hai jab woh bimar padte hai ya recovery stage mai rehte hai so aap chinta na kare beti ke sath jayada time spend kare, uske favorite food cook kar k de aur story books padhe iss uska man thik rahega and gussa nahi karegi.

| Feb 10, 2020
Hi dhanvi!baccha ek hi jagah per bahut der Tak Bina kuchh kiye letey Rahane se uktha jata hai. Use gussa aane lagta hai aur woh apni energy galat tarike se bahar nikalta hai. Bacche ko dheere dheere routine mein wapas laane ki koshish karen. Bacche ko age appropriate activities mai engage Karen jaise ki puzzle, board games, fun way mai thoda padhaai karwayein. Bacche ko room mai round lene ki liye kahey. agar accha mehsus karey to bahar bhi lekar jayein. Bacche ko pyar se Deal Karen gussa nahin kare. Pyar se samjhayein ki bado ko marna acchi baat nahin hai. Dheere dheere baccha wapas se routine mein aa jayega. aapko thoda firm rehna hoga.