care

Created by
Updated on May 08, 2018
me single mother hu mera beta 4 saal 7 month ka he abhi abhi me or mere husbend alag huwe e ab mere bete ka me keae khyal rakhu or ushe father ki kami mahsus na ho me kya karu

| May 09, 2018
hi anu soni! sabse pehle aap apna khayal rakhey, agar aap strong rahenge to bacche ko kami mehsus nahi hogi.. aap apne andar se guilt feeling bilkul khatam kar dey. aur yeh soche ki jo hua usi mai bacche ki aur aapki bhalai hai. iska koi aur doosra vikalp nahi tha. aap bacche se kabhi ke uske papa ke liye negative batein na kahey, bas poochna par itna hi kahe ki aap aur uske papa acchey friends hai, aur friends saath rahey aisa jaroori nahi.. weekends par bacche ko bahar lekar jayein, uske saath time spend karey. uske questions ko avoid na karey.. aur age appropriate language mai samjhayein. baccha jaise jaise bada hoga ,jaroor samjhega.

| Jul 20, 2018
hello Anu aap apne life ke Ek Nayi shuruwat karne jaa rahi hai best of luck. aapka Bachchan abhi bacha Hota Hai usse Pyar Se Samjhaye aap se sawal karega Mere Papa kahan hai Kyuki wo dusro Ke Papa ko Sath dekhega toh Uske Mann Mein Sawal aayega Mere Papa Mere Sath kyu nahi hai iska jawab dena Mushkil hoga Dheere Dheere Ho Samaj Jayega apne husband ke khilaf negative thinking Uske Mann Mein Na daale Pyar Se samjhaye uske sath time spend kare aap usse Itna Pyar De ke use Uske Papa Ki Kami mehsoos Na Ho