child psychology and behaviour

Created by
Updated on Jan 09, 2018
hello mam/sir mere bete ko gushaa bahut jayda aata hai

| Jan 09, 2018
hi Rajinder Kaur ! aap samjhane ki koshish karey,ki woh kis cheez se pareshan hai. kai baar bacchey ko pyaar ki zarorat hoti hai aur woh bol nahi pata . aap bacchey ko galey lagaye, uskey unkahee baat ko smjhane ki koshish karey. usey kya pareshaan kar raha hai woh dekhey.. kya woh school,friends, ya ghar ke kisi situatuoin ki wajah se pareshaan hain . usey pass bitha Kar , pyaar Karey, usey kahe aap usey kitna pyaar kartey hai,aapki life Mai uski Kya ahmeiat hai.. usey vishwaas dilayein ki woh aap se sab kuch share Kar sakta hai.. uska dost banne ki koshish karey. roj uske Saath time spend karey.


| Jan 09, 2018
rajinder ji Mai samjh sakti Hoon. aap is situation ko deal kijiye jissey bacchey ke mann mai na hi apni Dadi aur na hi Papa ke liye ko kadwahat aaye. aapko dono. ki side lekar chalni chahihe.. jitna ho skaey apni mother in law aur hubby ke beech ke gap ko khatam karne ki koshish karey, kyinki uska seedha asar aapke bacchey ke dimaag aur behavior par pad Raha hai.

| Jan 09, 2018
mam acutally woh sab samjhta hai uski maker me in us ki dadi galat hai aur hamesha hi galat hoti hai woh sirf apne papa ko follow karta hai mere mother in law apni batiyoon se aksar mere aur mere hubby k bare m boltey hai aur agar bete k samne kuch boltey hai toh woh bilkul bhi nai sunta us ko samjh m nai,aata k kaun bada hai woh kuch bhi bolta hai

| Jan 10, 2018
rajinder aap kabhi bhi bacchey ke samne uski Dadi ke liye galat nahi kahey .agar apke hubby kehtey hai to unhe bhi samjhayein.. bacchey ko samjhayein ki bado se kaise baat kartey hai. kal woh same bhasha aap sab ke liye bhi use Kar sakta hai ,Jo woh apne papa ko use kartey dekh Raha hai.

| Jan 11, 2018
Hello mam actually woh jab bhi gusshe m hota hai toh vaise hi bat karta hai uska behaviour kafi kharab ho gaya is liye abhi usko gushaa bhi bahut aata hai ab mujhe usko sambalane me muskil hoti hai please suggest me abhi uska behaviour thek kaise ho sakta hai

| Jan 11, 2018
rajinder ji aap bacchey ko community service mai Daley jaise ki gareeb bacchon ko jarorat ko samaan bantna, bujurgon ki seva karna, Aur bhi dharam karam ke karya karna.. iske saath saath aap usey aapni pocket money se kuch savings karke , apni dadi ke liye kuch aisa karne ko boley jissey woh khush ho jayein. uski Dadi ne aap sab. ke liye kya kya kiya hai yeh batayein.. Rajinder ji kamiyan hum sab mai hoti hai, un kamyion ko bhula kar jo agey badta hai woh hi ek sukhi jeevan vyateet kar sakta hai. nahi to ek janam bhi kam padega doosron mai kamiyan dhoond kar usey taney marne mai. kal ko baccha bada hokar same vyavahar aap ke saath bhi kar sakta hai. isliye jitni jaldi usey roka jaye , utna hi accha .