constipation problem

Created by
Updated on Dec 22, 2016
mera baby 2. 5mnth ka h.. use constipation rhti h starting s hi. 4 or 5 days m potti krta h. Dr. ka khna h ki it,s normal chahe 7 days m kre. bt baby pareshan rhta h jor lgata rhta h or rota rhta h.. koi home remedies suggest kre jisse use daily khul k potti aaye. kya m mugli ghuti 555 try kr skti hu


| Dec 22, 2016
ek chutki jaifal kees k ma k dudh me mila k de.. pet theek rahega bacche ka... or motions b sahi honge... aap harad b kees k pila sakte hai ek chutki ma k dudh k sath.. bacche k pet ko halka oil lga k seke halka pressure bnate hue.. uske nabhi pe heeng ghis k lgaye.. use pet dard me aram ayega


| Dec 22, 2016
hey rimpy main thing is diet agar aap zyada solid food de rahe ho tho make sure ki semisoild consistency ho taki baby6 ka pet halka ho aur rice and chappati kuch tym ke liye na do because use bhi kabhi kabhi baccho ko constipation hota hai .. ek hafte ke lie sooji ki khichdi banakar dedo taki halka rahe aur raisin pani mein bhegokar pani aur raisin khane dejeye theek ho jayega

