Hello all!! Mera beta 6 saal ka hai. Wo jab bhi Bahar khelne jata hai ,to thodi der mein hi woh apne group me ladayi karke aur gussa hokar wapas aa jata hai kyuki woh game ko apne hisab se khelna chahta hai. Aisa kafi dino se ho raha hai. Mai is chij ko lekar bahut pareshan hoon. kripya muje kuch sujhav dijiye ke mai kaise uske bartaav mai badlaav la sakti hoon!🙏🙏😇

Created by
Updated on Mar 09, 2023

| Mar 09, 2023
Geetu Vishal Singh Mera beta bhi apni cousin sister ke sath aisa hi karta tha. Mai kafi pareshan ho gayi thi ,kyuki daily ladayi hone se mera mood upset ho jata tha. Phir Maine apne bete ko samjhaya ki agar aap dusron se ladai karoge ya apne friends se theek se baat nahin karoge aur unke hisaab se games nahin kheloge to aapse koi baat nahin karega .Aur ye baat mere bete ko samajh mein aa gayi aur uske behaviour mein kafi badlav aane laga. Bacchon Ki Har demand poora karne se kabhi kabhi woh jiddi ho jatey hai. Kuchh aise bhi demands hote hai jismein hum unhe ‘No’ bol sakte hain. Aisa karne se bacche ko yes aur no dono sunane ki habit hoti hai aur woh group mai adjust hona bhi seekhtey hai.

| Mar 09, 2023
Geetu Vishal Singh Namaste!! Mai aapki pareshani samajh sakti hun. Bahut sare bacchon mein yah mentality hoti hai ki agar wo dusre bacchon ke sath khel rahe hai to wo apne hisab se hi rules rakhna chahtey hai .Wo sochte hain ki jaisa wo chahte hain ,dusre bacche vaisa hi karen. Isi vajah se bacchon mein fight hoti hai. Aapke bete ke sath aisa daily ho raha hai to aapko uske saath jana chahie. Aap 2-3 din observe kariye ki aisi kaun si baat hai jiske karan apka beta daily gussa aur udaas hokar wapas aa jata hai. 1. Apke bete ka dusre bacchon ke sath behaviour kaisa hai? 2. Ladai hone ka main reason kya hai? 3. Kya baccha apne behaviour ke karan group mai adjust nahi ho pa raha hai? Agar aapko ye sab karan pata chal Jaega to aap apne bete se baat kijiye aur use samjhaye to wo sari chijen solve ho sakti hain. Aap role play ke madhyam se bhi bacche ko samjha saktey hai, jisme ke aap apne bacche ka role play karyein aur usey apne friend ka role play karne ko kahein. Issey usey Samajh mai aayega ki unka kaunsa behaviour aur sabhi bacchon ke saath argument ka reason Banta hai. Aap apne bete ko ye bhi jarur btaye ki group me sabke hisab se games khelne se hi Khelne mai accha lagta hai! 👍🏻😇

| Mar 09, 2023
Blogs- https://www.parentune.com/parent-blog/बच्चों-की-गुस्से-और-जिद्-की-आदत-सुधारने-के-तरीके/2475 आप ये ब्लॉग जरूर पडे


| Mar 09, 2023
Blogs- https://www.parentune.com/parent-blog/बच्चों-में-कैसे-जगाएं-सहनशीलता-और-गुस्से-से-दूर-रहने-की-भावना/2818 aap ek bar ye blog bhi padh sakti hai. apko kafi help milegi.

