hi ma am meri beti 11 months ki hai wo sirf mother feed leti hai hur kuch nai kati main ose kiya dun os ka weght gain krne k liye os k teeth b ha rae han wo kuch kane k liye mooh e nai kolti.

Created by
Updated on May 12, 2020

| May 12, 2020
amber kyunki bacche ko pata chal chuka hai ki breastfeed available hai woh kuch aur try hi nahi karna chahti. aap bacchey ko meals family ke saath high chair par bithakar serve karey. taki woh dekh dekh kar khana seekh jaye. khana ek plate mai serve karey. Ek saal tak ka baccha sab kuch kha sakta hai, jo aap ghar par banatey hai with less of spices. Aap bacchey ke liye special dishes nahi banayein. Bacchey ko breastfeed khali meals ke beech mai hi karwayein. Usey beech mai feeding position mai nhai uthayein, feeding gown nahi pehney. Bacchey ko nutritional deficiencies hone ka darr agar kewal doodh hi diya jaye to. Aap koshish karey, bacche dhere dhere sab ko dekh kar jaroor khayega.

| May 12, 2020
Hi amber ! Bacche ke jab teeth aate hain tab babies chidchide rehne lagte hain. Aap baby ko french fries bana kar dein, halwa bana kar dein aur home made chips dijiye aisi cheezein baby ko denge toh thoda taste develop hoga aur baby khaane mei interest dikhaane lagegi. Baaki weight gain ke lie banana shake bahut accha rahega, soups, daal, rice water, rice, fruits ye sab dein. Baby ka active hona zaruri hai baby active hai toh chinta nahi karein. Breastfeed bacche ko 2 saal tak dein isse baby ka immune system accha rahega.