hi!! Meri beti 8 years ki hai. 1 year pehle uska accident ho gya tha jis wajah se woh kafi samyein tak bistar se bilkul bhi uth nahi pa rahi thi. Lekin abhi woh bilkul thik hai fir bhi wo bahut shaant ho gayi hai, mano jaise uske chehre ki muskaan kahin gayab ho gayi ho. Mai apni beti ke chèhre par pehle jaise Khushi Dekhne ke liye kya kar sakti hoon, please apne sujaav dijiye🙏

Created by
Updated on Mar 04, 2023

| Mar 04, 2023
Geetu Vishal Singh Kabhi kabhi bacchon ke sath aisa kuch haadsa ho Jata Hai Ki bacche puri tarah se shaant ho jatey hain aur apne aap mein rehne lagte hai. Mere bhi ek relative ke saath aisa hua tha Jiski wajah se vah bahut shaant rehne lagi thi. Unke mummy- papa bahut pareshan rehte the ki unke bacche Ko kya ho gaya hai. Unhone bacche ko jyada se jyada samyein dena shuru kar Diya , usey nature walk par lekar jana, uske saath board games khelna, ghar par hi movie dekhna aur khoob baatein karna shuru kiya. Mai aap se bhi yahi bolungi ki aap bhi apni bacche ke saath jyada se jyada waqt bitayein. Usey yakeen dilayein ki yeh sirf ek haadsa tha, isey bhulakar agey badhna hai Kyunki Abhi agey bhut accha samyein aaney wala hai. Aap dekhiega aapki beti bhi dhire dhire us haadsey se ubhar payegi.

| Mar 04, 2023
Geetu Vishal Singh Hi!! Mai aapki pareshani samajh sakti hu. Baccho ke saath achanak agar koi accident ho jaye to woh unke dimaag per asar karta hai. Jis wajah se bacche gumsum ho jatey hai. Aise mein aap bacchey ke saath samyein bitayein, unse baatein k karyein, bacche ke saath time spend Kijiye. Bacche ko Galti karne par pyaar se samjhaye. Bacche ko jo-jo cheezein pehle acchi lagti thi unke sath veh phir se Kijiye. Taki unke dimaag se Purani haadsey ki yaadein dhire dhire gayab hoti chali jaye. Is tarah se baccha dhere dhere beeti hui baaton ko Bhulne lagega aur khush rehne lagega.


| Mar 04, 2023
Kirpya is blog ko padhiye aapko bhi madad milegi. Blogs- https://www.parentune.com/parent-blog/आप-खुश-तो-आपका-बच्चा-खुश-इन-इन-बातों-पर-करें-अमल/2820

| Mar 04, 2023
Blogs- https://www.parentune.com/parent-blog/बच्चों-से-रिश्ता-मज़बूत-करना-है-तो-करें-ये-10-काम/3930 aap ye blog bhi padh sakti hai. Isase apko kafi help milegi.



| Mar 04, 2023
Geetu Vishal Singh aap apni daughter ko jyada se jyada apka time de. Aur meri maane to usse kisi hobby classes mai join Kara de. Isse kya hoga ki apki beti ko apni hobby mai time spend karne se wo khush rahegi. Aur koshish kariyega ki usse kabhi bhi us accident ya usse related kisi bhi baare mai koi baat na kare. Sath hi usse all time motivate kare ki kisi bhi aise activity se aisa nhi ki life ko khul ke nhi jeena, jeena hai hans ke muskura ke jeena hai.

| Mar 04, 2023
Geetu Vishal Singh ji hum aapke fikr samaj sakteh hain. Lekin chinta na karein aapki beti jaldi hi pehle jaisa ho jayegi. aap jithna ho sakeh uthna uske saath waqt bitayae. Khana banate samay beti ko kitchen mei bitake rakhke uske saath discuss kar sakteh hain. Bacho ko hi nahi koi bi ho kisi bi trauma ya depression se bahar aane ke liye art ek badiya tarika hain. Different colours jab dekteh hain toh ek alag sa nice feel aata hain. Jo relax feel detah hain. Aap try kar sakte hain. Usko drawing ka kit lekar dijiyega. Zaroor aapki beti ko acha lagega.