how to handle more emotional child

Created by
Updated on Sep 24, 2018
hello.... my daughter is 4 years 5 months old... wo baht roti hai or muje uske rone se baht irritation hoti hai.. usse pyar se v kisi chiz k liye mana karo to wo ro deti hai.... studies me kuch galat kare or sahi karne bolo to sb patakkar rone lagti hai.... fir muje gussa aa jata hai to wo or rone lagti hai... kya karu plz suggest karen

| Sep 24, 2018
hi Manisha Naidu ! kuch bacche sensitive hotey hai.. baat baat par ro detey hai. aap jab woh acchey mood mai ho tab samjhaye ki baat baat par roney se ,koi chup nahi karayega.. sab rondu bulayenge. jab baat ko pyaar se samjhaya ja sakta hai to roney se kya fyada. theek se baat karne se usey aur pyaar milega. smiley or reward bhi dijiye. dheere dheere aadat pad jayegi.


| Oct 23, 2018
hi Pooja Virend Rohilla ! AAP bacchey ki unkahe baaton ko samjhein. woh Kya chahta, kyun pareshan hai, kyun baat baat par rota hai. kahin aap uski har baat ka jawab 'No' to nahi de rahe hai. aap baat shuru karne see pehle apni tone check karey. uske hug karey, usey Kuch positive baatein jause ki,'u r such a good boy', 'u make my day', ' u r my sunshine' etc aisa Kuch kahey jissey wog apne baarey mai aacha mehsus karey aur aapko aur sunna chahe.. dheere dheere Pyaar se mould karey. is blog ko jarur padhiye aapko madad milegi. https://www.parentune.com/parent-blog/love-or-fear-how-do-you-discipline-your-child/771?ptref=sa0l000xpc800lf