how to make responsible child

Created by
Updated on Jun 05, 2017
mera beta 8 years ka hai.. woh apne kam ko taalta hai.. abhi 5 min bad, 10 min bad ...aise karke pura time nikal deta... work reh jata hsi.. n pakka ho jaata sunta nahi ...time target deti hu.. use bhi chod deta.. pls help me ..kya karu samajh nahi aata

| Jun 05, 2017
hi Richa! Mai aapki pareshani samajh sakti Hoon! aap ek din same behave kijiye , aapka beta bulaye to usey kahiye 10 minutes, phir bulaye phir kahiye 10 minutes. uski baat ko kuch time ke liye unsuna Kar dijiye , jab woh baat karne ki koshish karein , us room se chale jayein, yeh kehkar 5 minutes Mai baat Karti Hoon. thoda sa mushkil hai, apko strong rehna padega. yeh isliye Kiya ja Raha Hai Taki usey waqt ki kimat samjh aaye, bacche ko pareshan ya dukhi karne ke liye bilkul bhi nahi. mujhe lagta Hai usey baat samajh aa jayegi jaroor. jab woh aapke pass aaye aur puche aap mujhe baar baar 5minutes , 10 minutes kyun keh rahe Hai, to usey pyaar se samjhayein waqt ki kimmat Kya hoti hai, aur gaya hua waqt wapis nahi aata. uske Saath Beth kar time table plan karein. usey pyaar kare, hug karey aur promise karein ki aap kabhi phir use saath aisa nahi karegi, aur woh bhi aisa na karein. aaj ja kaam Kal par na taalein.. usey praise Karen aur hug karey. asha Karti hoon aapko issey madad milegi.
