hyy sar mera bcha 4 month ka he wo thik se ek Baar me dhoodh nhi pita or thik se sota nhi he

Created by
Updated on Feb 03, 2020

| Feb 03, 2020
Hi Kalpana, aap kitne der mai feed karwati hai? kuch bache dudh jaldi se pi lete isly woh kam samay pe bhi pi lete hai, aap har 2 ghante ke baad baby ko feed karwaye. Agar baby ka wajan har mahine badh raha hai and baby active hai toh aap paresan na ho. Avi baby kitne ghante sota hai? aap kosis kare ke ek routine set kare sone ka aur sone se phle light dim kare, massage de yeh sab help karege.

| Feb 03, 2020
Kalpana koi Jaruri nahin hai ki baccha lagatar Ek Bar baithkar pura dudh Pi le aur bacche Thodi Thodi Der per bhi life hain.. ve Maa ke sath baithane ka Ek Bahana dhundhte hain aur uske liye vah sabse Aasan Tarika Unka Hota Hai Ki vah dudh ke liye aapko Bulatey Rahtein Hain... to ismein aap Shanti purvak Uske Man Ki Hone De .....kam se kam jab tak baccha Ek Saal Ka Nahin ho jata ....Hamen uske sath Shant swabhav rakhkar Hi Kam karna padta hai .....Ek Bar Dhire se baby ka Munh Khol kar check Kariye ki Kahin Uske masudon Mein Kahin Koi khujali itching ya koi ghav To Nahin hi ho rkha.... ho sakta hai ki bacche ke Munh Mein Kuchh dikkat Ho Jis vajah Se usey suction karne mein problem ho rahi ho.... yah sab hone ke bavjud bhi Agar bacha kam doodh Pita hai to aap Doctor ki Salah Le sakte hain per per Bhookh badhane wali dwaaiee na dein.... Doctor ki Salah avashya