
| Feb 05, 2020
Hi, Kitne din se nahi ho rahi hai? kya baby breastfeed pe hai? breastfeed lene wale baby 3-4 din baad bhi stool pass karte hai aur yeh normal hai chinta na kare. Lekin agar baby paresan hai 1 week se motion pass nhi kiya aur motion bhahut tight hai toh aap doctor ki salah le.

| Feb 05, 2020
Hi.. Respected parent... Kahin aapane Apne bacche ko formula milk to nahin diya hai Kahin Bahar formula milk Dene Se bacche ko is Prakar Ki pareshani Ho Jaati Hai Agar Nahin toh..... do teen din se nahin Hui Hai To aapko Kuchh Diye Gaye upay karna chahie.... But agar bacche ko breastfeed de rahein hain toh kai baar bacche ko potty do teen din Mein Aati Hai.. Toh ghabrane ki koi jarurat Nahin Hai ...Maa Ko Kuch Aisa khane ko na Den jisse kabzi badhati hai ...jaise ki Bhari daal.. Raj maa,chanaa, Maida se Bnne Huey Saman... Fir Bhi Agar bacche ko taklif Jari rahti hai aur usko pet Nahin khulata to aapko chahie ki aap usey... pet per nabhi ke pass Hing Ka Pani Laga kar Dhire Dhire Gol Gol Ghumatey Huey Malish Karen ...uski Tango per thoda sa Tel lagakar Dheere Dheere cycle Ki Tarah unhen chalayen jisse Ki bacche ke pet per thoda sa dabav padega aur usey potty aa Jayegi Itna ...Sab karne ke bavjud Bhi Agar bacche ko Do Din Mein potty nahin aati to aapko doctor ke pass Le Jana chahiye... bacche ko koi dawai apne aap se na de... usey Doctor ki Salah per hi hidawai den