Child Psychology and Behaviour

mera 15 saal ke bacche ko kitna bhi samjha lo, woh padhai ko bilkul bhi seriously nahi leta hai. maine sabhi kuch karke dekh liya hai. mere madad kijiye .mai chahta hoon ki woh padh likhkar kuch ban jaye.

11 to 16 years

Created by
Updated on May 21, 2020

  • 2
Comments ()
Kindly Login or Register to post a comment.

| May 21, 2020

Hi Ajay ! Mata pita ke chahne se jyada jaroori hai ki baccha aisa chahey. Iske liye bacchey ko padhai mai interest lena hoga. Samjhane ki koshish karey ki bacche ko jyada acche se samajh mai kaise aata hai, dekh kar, khud se kar ke , ya sun kar. Aap bacchey ki usey tarike se madad karey. thoda samyein roj bacchey ki padhai par dhyaan dene ke liye nikaley. Usey roj marra ki jindagi se examples dijiye. Topic ko net per search karey, usme aur interesting facts jodein.. asha karti hoon aisa karne se baccha padhai mai jaroor interest lene lagega.

  • Reply
  • Report

| May 21, 2020

Hi Ajay ! Es time par bacche ko bahut pyaar se samjhaye, dost ban kar rahein. Kisi bhi tarah ka pressure nahi daalein. Counseling karwa sakte hain isse fark padega. Baaki padhai ki kya value hai ek example de kar samjha sakte hain. Bacche ko motivate karein naa ki demotivate, hamesha ye kahein ki aap sab kar sakte hain. Abhi se hee schedule set kijiye aur daily ussi time sath mei thoda bethein aur padhai karwayein. Dheere dheere interest banne lagega. Kabhi bhi abshabd ka use nahi karein bacche ke sath, jitna pyaar karenge utni jaldi samjh paaega.

  • Reply
  • Report

More Similar Talks

+ Start a Talk

Top Child Psychology and Behaviour Blogs

Loading
{{trans('web/app_labels.text_Heading')}}

{{trans('web/app_labels.text_some_custom_error')}}

{{trans('web/app_labels.text_Heading')}}

{{trans('web/app_labels.text_some_custom_error')}}