mera 16 month ka ladka h vo mitha chhod k kuch nahi khata

Created by
Updated on Apr 28, 2020

| Apr 28, 2020
Hi Miss manju !aap dhere dhere bacche ki manpasand cheez se start kartey hue, Ek ek karke halke salty dishes introduce karey. jyada meetha bhi bacche ke liye sahi nahi rahega. Ghar par jo bhi banyein, bacchey ko dining table par sabke saath serve karey. Dhere dhere baccha sabko dekh dekh kar khana seekh jayega.

| Apr 28, 2020
Hi Miss manju dear baby ko alag alag varieties dein khaane mei isse baby ka taste develop hoga for example dear agar aap daliya banana chah rhe hain toh daliya ki hee bahut si variety de sakte hain hum baby ko jaise ki sweet daliya with milk, vegetables daliya, daal ke sath mix karke daliya bana sakte ho, simple namkeen daliya, aise karke khel khel mei khana dein baby zarur khaega aur taste bhi develop hoga