Mera baby bahut kam sota h bahut kosish karti hu sulane ki per 10 min me hi uth jata h m bahut pareshan hu Kya karu

Created by
Updated on Feb 14, 2020

| Feb 15, 2020
Hi Manu, baby avi kitne mahine ka hai? kya din mai sota hai? aap try kare ki ek routine banaye- sone se phle massage de, light dim rakhe, lullaby play kare aur phir sulaye. Sulane se phle yeh bhi dhyan rakahe ki baby ne urine pass kar liya hai taki sone ke turant baad urine pass karne ke liye uth na jaye. Iske alwa aap baby ko ache se feed karwa ke sulaye. jyadatr baby bhuk ke karan uth jate hai. Aur aap yeh blog bhi jarur padh le kuch aur jankari ke liye- https://www.parentune.com/parent-blog/how-to-make-your-baby-sleep/3964

| Feb 15, 2020
Manu hi aap baby ka pee and poop cycle complete karane ke baad diaper pehna De aur room dark and silent Karke usey breast feed dein ... uske sath tab tak lete Rahen jab tak Ki vah so Nahin Jata ... uthne se pahle Uske Charon Taraf pillows lagaen Taki usey support Rahe .. koshish karen ki ....Jab vah so raha ho toh Uske aaspaas Shanti banae rakhen... baby ko sone se pahle head massage oil lagakar Karein... isase bhi use Nind Kafi der tak Aayegi