Mera baby bat bat per jid karta hai ,meri bat nahi sunta hai kya kru? ap log apne babies ko kaise handle krte ho pls help me.

Created by
Updated on Dec 30, 2022

| Dec 30, 2022
Bhawna jaiswal waise to Aaj kal sab baccho ka ye hi haal hai, bus aap koshish kare ki aap baby ko thoda mobile se dur rakhe, bacche mobile ko dekh dekh kar jyada jiddi ho gayi hai. Ap baby ko outing ke liye le jaye koshish kare ki baccha apne friend ke sath khele, baccho ko pyar ke saath saath daantna bhi jaruri hai, har waqt pyar karne se bhi bacche jiddi ho jate hai, usse discipline sikhaye limitations sikhaye, dheere dheere usme apko changes dikhenge. Apka baby school to jata hi hoga, kis class mai hai apka baby.

| Dec 30, 2022
Blogs- https://www.parentune.com/parent-blog/क्या-आपका-बच्चा-बहुत-जिद-करने-लगा-है-इसे-जरूर-पढ़े/2957 ye vlog apki help karega please isse dekhe

| Dec 30, 2022
Bhawna jaiswal jab bi bacha kuch baat ke liye jidd karein toh uski baat ko divert karne ki koshish karein agar wo zaroori nahi hain toh, agar aap sochte hain ki jo wo maanga raha hain wo dena zaroori hain toh bache ko zidd karne rak na chode turant hi lekar de dijiye isse bache ko ye seek milti hain ki zidd karne par sab kuch nahi milta hain aur agar zaroori hain toh mummy paapa lekar dete hain. Toh bacha har baat par jidd Karna kam kar deta hain.

| Dec 30, 2022
Ajkal mostly sabhi babies jid krte hai, lekin baby ki sari jid nahi mnani chahiye. mera baby jab bhi jid karta hai to mai usko game me busy kar deti hu, ya uski favorite chijo ke bare me bat karna strat kr deti hu aur kabhi kabhi ye formula work bhi krta hai aur kabhi kabhi baby ke jid karne per use ignore karti hu to wo apne ap sant ho jata hai.

