mera beta 10 saal ka hai, woh padhai ko bilkul bhi seriously nahi leh raha hai. woh abhi 5th class mai hai. Aur woh sara din ipad ya phones par hi laga rehta hai. mai usey kaise samjhaun ki yeh holidays nahi chal rahi hai. please mujhe sujaav dijiye.

Created by
Updated on May 10, 2020

| May 10, 2020
hi Zara !aise case mai aap bacchey ka schedule set karey. Gadgets ka restricted usage allow karey. Agar baccha nahi maney to gadgets ko usage bilkul bandh karwa dijiye by keeping them out of his sight.. also if possible appy the same rule to all family members .khaaskar mealtime and study time, par gadgets ka use allow nahi karey. Bacchey ko ek dedicated chair and study table allot karey, jahan se aap bacche ko supervise kar sakey. Bacchey se pooche ki usne kya padha, notes check karey and bacchey ko surprise test dijiye on the same topic. aap bacchey ke papa ki bhi madad le saktey hai yeh sab mein.

| May 10, 2020
Hi Zara ap bacche ke saamne phone ka use karna band kar dein. Baccha notice karega toh nahi karega wo bhi. Aaj kal sabhi parents phone par rehte hain toh bacche bhi aisa karte hain. Baccha chota hai abhi aap pyar se handle kijiye time table set karein har cheez ka khaane ka study ka, ek schedule set kar dene toh baccha zarur follow karega. Tablet aur phone jo baccha use karna chahta hai de sakte ho par ek time set kar lein. Baaki stress nahi lein thoda time tablet ko follow karne mei time lagta hai.