Babycare

mera beta aaj 3 months ka ho gaya hai.... woh bottle ka dudh bilkul nahi pi raha hai or mera uske liye pura nahi ho pa raha hai ...main kya karun

0 to 1 years

Created by
Updated on Mar 13, 2020

  • 4
Comments ()
Kindly Login or Register to post a comment.

| Mar 13, 2020

Hi Swapnil !aap jitna doodh pilayenge utna hi milk production jyada hoga. one side par 15 minutes ke liye doodh pilayein ,phir burp karwayein. Phir gap ke baad doosri side se feed karvayen amd phir se burp karwayein. Relax karey and diet mai galactagouges add Karey jaise ki methidana, star anise , saunj,ajwain,jeera , masoor and arhar daal ,doodh etc add karey.

  • Reply
  • Report

| Mar 13, 2020

Hi Swapnil, aap apni diet ka dhayn de aur yeh food item le jo aap ke dudh ko badhane mai help karege Whole grains -lehsun -hari patte wali sabji -adrak - methi -Nuts and seeds -Oats -Barley -Fennel seeds (Saunf) -Cumin seeds -Star anise seeds (badiyan ka phool) -Sesame seeds -Turmeric Drumsticks -Carrots -Black sesame seeds -Salmon fish -Sweet potato -basil or tulsi.   

  • Reply
  • Report

| Mar 13, 2020

Swapnil hi aapka beta 3 month ka hai aur aapko 6 months tak breastfeed hi Karana chahie. breast feed ko badhane ke liye, aap apni diet mein, Main jeera ,ajwain aur methi dana add Karein , aur inhen daily basis per lein, Sath hi Sath green leafy vegetable, fruit, nuts ,milk aur Daliya Bhi Apne diet mein badhaaein

  • Reply
  • Report

| Mar 13, 2020

Aap apna feef karate rahenge tab hi milk prpduce hoga.. aap papaya khaye daily.. isse milk barta h.. aap apne hane me jeera dale... sauf khaye khane k baad ya fir kisi khane sauf dalke khaye isse v milk jyada hoga.. agar fir v na ho to doc se consult karke formula milk de.. suru me bottle feed nhi lena chahega.. aapko daily bottle se feed karana hoga tabhi sikhega bottle se pine..

  • Reply
  • Report

More Similar Talks

+ Start a Talk

Top Babycare Blogs

Loading
{{trans('web/app_labels.text_Heading')}}

{{trans('web/app_labels.text_some_custom_error')}}

{{trans('web/app_labels.text_Heading')}}

{{trans('web/app_labels.text_some_custom_error')}}