mera beta dubla payla hai use kya khane ko de

Created by
Updated on Feb 07, 2020

| Feb 07, 2020
Sarabjit Kaur aap bacche ko daliya, non veg ,egg, fish, full cream milk, butter, cheese, homemade paneer ,ghee ,dry fruits etc dijiye. bacche ko khana sabke saath serve kare jisse vah sab Ko dekhkar jaldi se Seekh jaaye. Khane mai variety add karey, bacche ko week mai ek din uski pasand ka khana dijiye . Aap bacche ki plate mai presentation attractive rakhen. Bacche ko involve karey cooking time mein.

| Feb 07, 2020
sarbjeet kaur hi.. aapko Apne bete ko ek balance aur nutritious diet Dena bahut jaruri hai ...Kai bar bacche choosy hote hain khane Mein Toh Unka bhi vajan badhta Nahin Hai ..iske liye aapko chahie ki aap apne bete ko jahan tak ho sake Uske Pasand ka khana yaa finger food un Sab sabjiyon dal paneer ka prayog karte hue banaen jisse Hue Khushi Se khae ...aap cutlets Idli pudding custard shakes seasonal fruit chart soups aloo patties banana shakes mix veg pulao banae jisse vah Ek Sath Na baithkar.... Din Mein 6 se 7 Baari Khata Rahe... Din Mein use dudh ke do glass Jarur den ....Sath hi Sath khane Mein egg cheese paneer aur Dahi Lassi Jarur dein... isase Uske Sharir Mein protein ki matra badhegi... aur uski muscle building mein madad karegi ...aap iske liye Apne doctor se bhi consult kar sakte hain Agar itna Sab Kuchh karne ke bad bhi bacche ka weight gain nhi Hota Hai