mere twins baby girl and one boy hai. mera dudh jyada nai aata muje formula milk suggest kiya hai mera dudh bdhane ke liye kya kr skte hai plz ans di jiyega

Created by
Updated on Feb 02, 2020

| Feb 02, 2020
Blogs- https://www.parentune.com/parent-blog/मां-का-दूध-बढ़ाते-हैं-ये-7-आसान-से-उपाय/4434 kinnu aap ye pdein

| Feb 02, 2020
kinnu aapko tension lene Ki avashyakta Nahin Hai ....bus Kuchh baaton ka dhyaan rkhein or Apni diet mein Inka Sevan badhaen .....isase aapko Kafi fayda Hoga ....jaise ki jeera ajwain aur methi dana hai ...ye dudh badhane Mein Kafi kargar Hai.... ise rojana Sevan Mein daliye Chahe jeera chawalmein ... Methi Dana kadhi Mein daalein.... iska Sevan badhaen aapko poshtic aur santulit Aahar lena hai jismein harey pattedar sabjiyan fal dudh paneer Dahi Lassi cheese or dal ka Sevan badhaaein ...Dal protein ka ek Achcha Source hai ...aap Anda aur fish Bhi Apne diet Mein Bada sakte hain .....Har Prakar ki dal aapke liye bahut acchi Hain ... Apne Sharir Mein Pani Ki Kami Nahin hone de... Din Mein Kafi Pani piti Rahe aur apne aap ko hydrated rakhne ki koshish karen.... Dudh ka Banna Ek hormonal process Hai is vajah se aap tension Liye bina ... Upar Di Gai Kuch advice per Dhyan Den aur unhen apnaaein.......... Doctor ki bhi advice bhi jarur llein

| Feb 02, 2020
Hi kinnu !aap healthy nutritious diet lijiye. Jitna feed karwayenge utna hi milk production jyada hoga. Aap bacchon ko skin to skin contact dijiye issey doodh jyada utrega. Aap khane mai galactagouges jaise ki ajwain, jeera, methidana, daliaya ,masoor and arhar daal, etc le saktey hai. Paani and Anya fluids letey rahe.
