Meri beti 7 saal ki hai. woh sara din kuch tasty khana demand karti hai. jyadatar maida se bani cheezin hi pasand karti hai. woh khane main har samyein pasta, pizza, pancake ,noodles chips,biscuits mangti hai. Nahi dene par gussa ho jati hai aur khana nahi khati. meri madad kijiye.

Created by
Updated on Apr 27, 2020

| Apr 27, 2020
Hi Nikki ! Mai samjh sakti hoon. kyunki bacche abhi jyadatar khali hai aur bore ho rahe hai ,to unhe bookh jaldi lag jati hai. Aap weekly menu tyaar karey sabke saath bethkar, jismein ek din manpasand khana aur baki time jo aap chahe woh banega. Aap us din bacchey ki manpasand cheezin ghar par hi bana saktey hai prantu usme bhi nutrition daal saktey hai jaise ki whole wheat atta se pizza, noodles banana and usmein dher sari sabjiyaan daaley. Agar mata pita dono hi same baat kahenge to baccha sunega. Aap evening mai snacks mai sabko fruit chaat ya peanut chaat ya paneer se bani dishes serve kar saktey hai. Bacchey se discuss karey kyun accha nutrition immunity badhane aur bimayrion se ladne ke liye jaroori hai.

| Apr 27, 2020
Hi Nikki .. dear aap apne bacche ko yah samjhaye Hafte Mein Ek Din yah jo bhi fast food banaa sakte hain vah bana kar dein Baki aap 6 Din bache ko healthy khana khilaye bacche ki Sabhi wish ko pura karna acchi baat hai per bahut jyada bacche ki wishes manenge toh bacche ko aadat ho jaati hai dear isiliye abhi se samjhayein ki healthy khana khaana kitna zruri hai,fruits vegetables daal ye sab zarur dein nahi toh aage ja kar bacche ko bahut si problems ho sakti hain ye samjhaayein aur ghar par simple khana banaye sab khaaenge toh gudiya bhi khaaegi