Walking

Created by
Updated on Jan 03, 2018
Hello. Meri baby 15 months ki hai. Abhi tak akele walk nhi karti. Humara finger pakad k hi walk karti. Akele walk karne se dar jati hai. Akele khadi b nhi hoti.

| Jan 03, 2018
Hi Usha some children are not confident of walking alone with the fear that they will fall and get hurt.. she is still in that stage.. try taking her to gardens.. waha uska haath chod do because playground dekhke use apne aap bhagne ka man karega. ek baar sirf start hone ki der hai.


| Jan 05, 2018
Hi Usha Usha Bisoi , kuch bache late chalte hai. Ye aaj kal common concern hai parents ka but tension wali koi bat nahi hai. Aap baby ko pakad ke chalao. Beech beech me us ka hath chod do dheere se ke use pata na lage ke apne use chod diya hai. Dheere dheere baby ko confidence boost hoga and vo khud start kar degi chalna. Secondly use chair ke sath khada kar dijiye taki vo chair ko push kre and walk karne ki try kare. Rat ko sone se pehle baby ke legs aur back ki ache se massage kare taki baby relax ho ke soye aur next day subh aram se uth ke fir se apni walking journey start kare aur use enjoy kare.